Sunder to vo hai hi ..
Kya kehne !
Sakuchi si kabhi anterman me ,
Kabhi ban jaye dhaal hai …
Teekhi sune, to Rudan kare ..
Par muskaati badi kamaal hai ..
———-
Gusse ki meri jaankaar ,
Khul jaye nind tagdi ,
Sun lu jiski payal ki jhankaar ,
Haskar jo taal de gussa,
yukti bemisaal hai ,
Teekhi Sune , to rudan kare ..
Par muskaati badi kamaal hai ..
———
Koi jaye na jaye ..
Vo nahi jani chahiye ..
Dill ki Roushan hai jo ,aur
Humm jissee malaamaal hai ,
Koi or nahi , ‘Maa’ hai meri
Dil haarkar , jaan nisaaar hai ,
Seh legi sab ,
Kare ek na ucchhaar hai (will utter not even a word )
Teekhi Sune , to Rudan kare
Parr muskaati baddi kamaal hai
——–
Maange hai mujhse kuch bhi nahi ,
Par mera samay ,
Taki badle hum aachaar -vichaar hain
Uljhi hui hu khud me jo ,
Padi vyastataa ki maar hai ,
Roothegi vo , Dil ko kootegi vo ,
Phir kahegi ,” ye sab teri CHAAL hai “
Teekhi sune to rudan kare ,
Par muskaati badi kamaal hai ….
Muskaati badi kamaal hai …..
#Mommy_love
उत्तम भाव 👏👏👏
LikeLike
Thanks
🙂
LikeLike