
Bohot paltiyaan deti hai vo ..
Kbhi ‘bohot’ sa dekar ,’kuch ‘ chhod deti hai vo
aise hi…jb kuch panno k sath ,karti hu shuruat
ik sukoon bhari zindagi ki..
Badi bedard hai yar!
Bin pooche hi koshishon ko tod deti hai voi..
sochti hun kbhi to ye fir se palti khaye..
Kuch to jalwe dikhaye apne unmane ,anjaane vyavhaar se ..
Khush krde mujhe aise jese ,jeewan me chal rahe ho tyohaar se..
Theek aise hi ho tum …
“Kismat” se kam nahi..
Har chiz ka hisaab rakhte ho ..
asafaltaaon ka gam nahi..
Upar wale se kehti hu …”Aaj chit teri ,or patt mera,
iss chit se hi aa khel le ‘chitt ‘(heart) mera ..
sunta to tu sabki hai ,
thukrata nahi fasaana sochkar
Kismat bhi tune hi likha hai,
Use bhi banaya hoga sochkar “
Khoob likha ‘Navratno’ne …
Itihaas ke panne kam nahi ,
Apni hi kitaab ki duniya me,
khud ‘badshah-e-begum’ nahi ?!
faad du aise panne ko ,
likhu fir ek naya fasaana
jaha tu bhi ho ,sath kismat bhi..
or khushiyo ka ho ana -jana
kyuki ‘kuch’ to baat hai apni ..
jo bankar fir bigadti nahi …
Kuch to ‘Apurv’ zaroor hai hum me ..
jo kismat bhi badal sakti nahi,,…
#loveprevails
Beshak✌
LikeLike