Kash vo mujhe samajh paata,dil ki khidki fir se khol pata,
Ginti b na ho payegi unki
Itne tukdo me baat kar
dil ko ,seh rahi sannata;
Log kehte hain”,itni chup kyu ho ?kro baat!”
Mai kehti “,chup nahi ,dekh rahi hun
Kya hua hai mere sath”;
Kabhi man machalta hai,kabhi ye kehta hai
Ki ,”dekh use,thukra kar tujhe ,
Jisne kisi or ki panaah li hogi,
Or kitni gaaliyan sunkr uski,dil ko chhalni hone dogi?”
Par man kya jane ,dil ki baat
Dil to dil hota hai,
padi hai jise ziddipan ki gaanth.
Bina jaane ,ye kahan thakta hai,
Bar bar akar usi pe rukta hai, ~Z�!
Man me fir ek sawal ata hai ,
Har bar jo bawaal kr jata hai,
ki“kya vo din jhoothe the
Falak me jb tare tute the ,
Or puri hui thi asha ?”
Ya tha kuch AUR jiska,
duniya dekh rahi thi tamasha?”
kyuki mujhe malum hai,
mai pagal zarur hun ,par galat nahi
sacche dil se chaha hai,koi dhokadhadi nahi ki,
par ye baat use smjh ayegi kaise ?
sab kuch khol kar rakh dia tha .
sahi galat soche bina hi
sacch bol kar rakh dia tha
par shayd use dusro ki baatein
or khud ka nazariya hi pyara hai ,
kis baat ki sazaa hai ye ki
mujhe hi kar dia paraya hai;
usse koi shikayat nahi mujhe ,
kyuki naseeb apna apna hai,
par fir se milkar ek ho pana ,
shayad ek sapna hai ….
Huhh….!
Jeena to vese bhi tha ,jeena aise bhi hai..
Pr Man tale bas yhi gaanth reh jayegi ki
Kash vo mujhe samajh paata ,
Din ugega or ye sham bhi dhal jayegi ,
Par kbhi na tootega uski yadon se naata…
Yoon to behad paas hai vo,
dil ka bhot khaas hai vo.
kis tarah khud ko bandh rakha hai maine
ye main jaanti hu..
pyar karna chahti hun usse ,
par haar maanti hun,
kyuki vo samajhna hi nahi chahta.
aur mai sochti hi rehti :
Kashh ..vo mujhe samjh paata….
Nice one
LikeLike
Hamdard har Dard me saamil hota hai aur jise Dard hi nahi o Hamdard kaisa. Waise bahut achhi likhi hai aapne pura padhkar comment tak Aa gya kya karoon shabdon ke jaal se nikal hi nahi paya.
LikeLiked by 1 person
thanks a lot!
LikeLike
nice one
LikeLike
thanku.. 🙂
LikeLiked by 1 person