Hindu kya , Muslim kya,
Sikh kya ,Isaai kya,
sab yahan viraajmaan hain,
Lagta hai …Mishrata hi bhaarat ki pehchan hai.(distorted secularism)
Aaj ka samachar ye-
“Aao dekha na taao dekha ,
‘Shikshit’ ne kachra raste me feka”,
“Logon ne kanoon lia hath me!”..(Mob lynching)
………….haha!….”Rahul ne Modi ko maari aankh re!”(No-confidence motion)
“kisan ki mehnat bani paani”.
“Raajasthan me ghuspaith kr rahe gharelu pakistaani”
Aji!paani barsega kaise? bheeshan garmi ne kardi hai aise -taise..
Dil karta hai sab theek kar doon,
Ek chutki me ,Bhaarat ka naksha hi badal doon,
Par ye ‘ ek chutki ‘….,sindoor nahi ,jisse logon ki ‘maang’ bhari jae ,
Balaatkar hone ke baad netaji krte hain “HAYE -HAYE”!
Fir ,adat ye inki bhrastachaar ki jaati hi nahi,
Isilie soyi huyi hoon.,…………..uth pati hi nahi………
sochti hu,”desh rangeela” jaise gane gau,
Mai bhi azadi k jashn manau,
Par ‘Desh ki mukti’ aur ‘Desh ki azaadi ‘ me faraq hai,
theek vese hi, jaise , ……….hai to Sona hi ,
par ’24’ -shuddh aur ’22’ -mishrit gharak hai.
Desh ke vikas ke lie ,pashchimikaran aawashyak saar hai,
par desh-aadhar keval– SANSKRIT,SANSKRITI OR SANSKAAR hai.
Karm ka akaatya siddhant yhi,”jeeta vhi jo hara nahi”,
To dil kyu chhota karna?
Chlo! fir se shuruat karte hain,
ek glass chhass k sath!….
jigar garam hai,khoon garam hai ,
Fir kyu kanoon naram hai?
Chamatkaar ka intezar mat kar yar!
Aa krte hain ek vaastavik MUKT -RATN Bhaarat taiyar,
Asli azaadi tabhi,
jab desh k jeevit murde,
‘Aasakti‘ ke bhram se ayenge baahar,
aur karenge prem -vyavhaar,
prem vo nahi ,jo filme darshati hain,
prem vo,jo Desh ke sath jan-jan ko aage badhati hai!